Ameer Minai

ai zabt dekh ishq ki un ko KHabar na ho

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na ho
dil meñ hazār dard uThe aañkh tar na ho
muddat meñ shām-e-vasl huī hai mujhe nasīb
do-chār saal tak to ilāhī sahar na ho
ik phuul hai gulāb kā aaj un ke haath meñ
dhaḌkā mujhe ye hai ki kisī kā jigar na ho
DhūñDe se bhī na ma.ani-e-bārīk jab milā
dhokā huā ye mujh ko ki us kī kamar na ho
ulfat kī kyā ummīd vo aisā hai bevafā
sohbat hazār saal rahe kuchh asar na ho
tūl-e-shab-e-visāl ho misl-e-shab-e-firāq
nikle na āftāb ilāhī sahar na ho
Top Urdushayar.com