haTāo aa.ina ummīd-vār ham bhī haiñ
tumhāre dekhne vāloñ meñ yaar ham bhī haiñ
taḌap ke ruuh ye kahtī hai hijr-e-jānāñ meñ
ki tere saath dil-e-be-qarār ham bhī haiñ
rahe dimāġh agar āsmāñ pe duur nahīñ
ki tere kūche meñ mast-e-ġhubār ham bhī haiñ
kaho ki naḳhl-e-chaman ham se sar-kashī na kareñ
unhīñ kī tarah se bāġh-o-bahār ham bhī haiñ
hamāre aage zarā ho samajh ke zamzama-sanj
ki ek naġhma-sarā ai hazār ham bhī haiñ
kahāñ tak aa.ine meñ dekh-bhāl idhar dekho
ki ik nigāh ke ummīd-vār ham bhī haiñ
sharāb muñh se lagāte nahīñ haiñ ai zāhid
firāq-e-yār meñ parhez-gār ham bhī haiñ
hamārā naam bhī likh lo jo hai qalam jaarī
qadīm aap ke ḳhidmat-guzār ham bhī haiñ
humā haiñ gird mirī haDDiyoñ ke aaTh pahr
sag aa ke kahte haiñ ummīd-vār ham bhī haiñ
jo laḌkhaḌā ke gire tū qadam pe saaqī ke
'amīr' mast nahīñ hoshyār ham bhī haiñ