pahle to mujhe kahā nikālo
phir bole ġharīb hai bulā lo
be-dil rakhne se fā.eda kyā
tum jaan se mujh ko maar Daalo
us ne bhī to dekhī haiñ ye āñkheñ
aañkh ārasī par samajh ke Daalo
aayā hai vo mah bujhā bhī do sham.a
parvānoñ ko bazm se nikālo
ghabrā ke ham aa.e the sū-e-hashr
yaañ pesh hai aur mājrā lo
takiye meñ gayā to maiñ pukārā
shab tiira hai jaago sone vaalo
aur din pe 'amīr' takiya kab tak
tum bhī to kuchh aap ko sambhālo