Ameer Minai

jab se bulbul tu ne do tinke liye

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
jab se bulbul tū ne do tinke liye
TūTtī haiñ bijliyāñ in ke liye
hai javānī ḳhud javānī kā siñgār
sādgī gahna hai is sin ke liye
kaun vīrāne meñ dekhegā bahār
phuul jañgal meñ khile kin ke liye
saarī duniyā ke haiñ vo mere sivā
maiñ ne duniyā chhoḌ dī jin ke liye
bāġhbāñ kaliyāñ hoñ halke rañg kī
bhejnī hai ek kam-sin ke liye
sab hasīñ haiñ zāhidoñ ko nā-pasand
ab koī huur aa.egī in ke liye
vasl kā din aur itnā muḳhtasar
din gine jaate the is din ke liye
sub.h kā sonā jo haath aatā 'amīr'
bhejte tohfa mo.azzin ke liye
Top Urdushayar.com