Ameer Minai

kya roke qaza ke war tawiz

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
kyā roke qazā ke vaar ta.avīz
qil.a hai na kuchh hisār ta.avīz
choTī meñ hai mushk-bār ta.avīz
yā fitna-e-rozgār ta.avīz
donoñ ne na dard-e-dil miTāyā
ganDe kā hai rishta-dār ta.avīz
kyā nād-e-alī meñ bhī asar hai
chāroñ TukḌe haiñ chaar ta.avīz
Dartā huuñ na sub.h ho shab-e-vasl
hai mahr vo zar-nigār ta.avīz
ham ko bhī ho kuchh umīd-e-taskīñ
kho.e jo tap-e-ḳhayār ta.avīz
pattāñ ko jaḌ hamārī pahuñchī
gaaḌā tah-e-pā-e-yār ta.avīz
hājat nahīñ un ko nau-ratan kī
baazū pe haiñ pāñch chaar ta.avīz
khaTke vo na aa.e fātih.e ko
dekhā jo sar-e-mazār ta.avīz
pī jā.eñge ghol kar kise aap
hai naqsh na ḳhāksār ta.avīz
ai turk Taleñ balā.eñ sar se
ik teġh kā ḳhat-e-hazār ta.avīz
Dar hai tumheñ kanknoñ se lāzim
laayā to hai sāda-kār ta.avīz
iksīr kā nusḳha is ko samjhūñ
kho.e jo tirā ġhubār ta.avīz
majma.a hai 'amīr' kī lahad par
mele kā hai ishtihār ta.avīz
Top Urdushayar.com