Ameer Minai

wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
vasl kī shab bhī ḳhafā vo but-e-maġhrūr rahā
hausla dil kā jo thā dil meñ ba-dastūr rahā
umr-e-rafta ke talaf hone kā aayā to ḳhayāl
lekin ik dam kī talāfī kā na maqdūr rahā
jam.a kis din na hue mausam-e-gul meñ mai-kash
roz hañgāma tah-e-sāya-e-angūr rahā
gardish-e-baḳht kahāñ se hameñ laa.ī hai kahāñ
manziloñ vādī-e-ġhurbat se vatan duur rahā
rāst-bāzī kar agar nāmvarī hai darkār
daar se ḳhalq meñ āvāz-e-mansūr rahā
vo to hai charḳh chahārum pe ye pach mohalle par
sach hai iisā se bhī baalā tirā mazdūr rahā
fasl-e-gul aa.ī ga.ī sehn-e-chaman meñ sau baar
apne sar meñ thā jo saudā vo ba-dastūr rahā
jalva-e-barq-e-tajallī nazar aayā na kabhī
muddatoñ jā ke vahāñ meñ shajar-e-tūr rahā
zulf o ruḳh donoñ haiñ jaane se javānī ke ḳharāb
mushk vo mushk na kāfūr vo kāfūr rahā
ġhol-e-sahrā ne mirā saath na chhoḌā shab bhar
le ke mash.al kabhī nazdīk kabhī duur rahā
ham bhī maujūd the kal mahfil-e-jānāñ meñ 'amīr'
raat ko der talak aap kā mazkūr rahā
Top Urdushayar.com