haiñ na zindoñ meñ na murdoñ meñ kamar ke āshiq
na idhar ke haiñ ilāhī na udhar ke āshiq
hai vahī aañkh jo mushtāq tire diid kī ho
kaan vo haiñ jo raheñ terī ḳhabar ke āshiq
jitne nāvak haiñ kamāñ-dār tire tarkash meñ
kuchh mire dil ke haiñ kuchh mere jigar ke āshiq
barhaman dair se ka.abe se phir aa.e haajī
tere dar se na saraknā thā na sarke āshiq
aañkh dikhlāo unheñ marte hoñ jo āñkhoñ par
ham to haiñ yaar mohabbat kī nazar ke āshiq
chhup rahe hoñge nazar se kahīñ anqā kī tarah
tauba kiije kahīñ marte haiñ kamar ke āshiq
be-jigar ma.arka-e-ishq meñ kyā Thahreñge
khāte haiñ ḳhanjar-e-ma.ashūq ke charke āshiq
tujh ko ka.aba ho mubārak dil-e-vīrāñ ham ko
ham haiñ zāhid usī ujḌe hue ghar ke āshiq
kyā huā letī haiñ pariyāñ jo balā.eñ terī
ki parī-zād bhī hote haiñ bashar ke āshiq
be-kasī dard-o-alam daaġh tamannā hasrat
chhoḌe jaate haiñ pas-e-marg ye tarke āshiq
be-sabab sair-e-shab-e-māh nahīñ hai ye 'amīr'
ho ga.e tum bhī kisī rashk-e-qamar ke āshiq