mujh mast ko mai kī bū bahut hai
dīvāne ko ek hū bahut hai
motī kī tarah jo ho ḳhudā-dād
thoḌī sī bhī aabrū bahut hai
jaate haiñ jo sabr-o-hosh jaa.eñ
mujh ko ai dard tū bahut hai
mānind-e-kalīm baḌh na ai dil
ye dard kī guftugū bahut hai
be-kaif ho mai to ḳhum ke ḳhum kyā
achchhī ho to ik subū bahut hai
kyā vasl kī shab meñ mushkileñ haiñ
fursat kam aarzū bahut hai
manzūr hai ḳhūn-e-dil jo ai yaas
apne liye aarzū bahut hai
ai nashtar-e-ġham ho laakh tan-e-ḳhushk
tere dam ko lahū bahut hai
chheḌe vo mizha to kyuuñ maiñ ro.uuñ
āñkhoñ meñ ḳhalish ko mū bahut hai
ġhunche kī tarah chaman meñ saaqī
apnā hī mujhe subū bahut hai
kyā ġham hai 'amīr' agar nahīñ maal
is vaqt meñ aabrū bahut hai