qibla-e-dil kāba-e-jāñ aur hai
sajda-gāh-e-ahl-e-irfāñ aur hai
ho ke ḳhush kaTvāte haiñ apne gale
āshiqoñ kī īd-e-qurbāñ aur hai
roz-o-shab yaañ ek sī hai raushnī
dil ke dāġhoñ kā charāġhāñ aur hai
ḳhaal dikhlātī hai phūloñ kī bahār
bulbulo apnā gulistāñ aur hai
qaid meñ ārām āzādī vabāl
ham giraftāroñ kā zindāñ aur hai
bahr-e-ulfat meñ nahīñ kashtī kā kaam
nuuh se kah do ye tūfāñ aur hai
kis ko andesha hai barq o sail se
apnā ḳhirman kā nigahbāñ aur hai
dard vo dil meñ vo siine par hai daaġh
jis kā marham jis kā darmāñ aur hai
ka.aba-rū mehrāb-e-abrū ai 'amīr'
apnī taa.at apnā īmāñ aur hai