guzar ko hai bahut auqāt thoḌī
ki hai ye tuul qissa raat thoḌī
jo mai zāhid ne māñgī mast bole
bahut yā qibla-e-hājāt thoḌī
kahāñ ġhuncha kahāñ us kā dahan tañg
baḌhā.ī shā.eroñ ne baat thoḌī
uThe kyā zānū-e-ġham se sar apnā
bahut guzrī rahī haihāt thoḌī
ḳhayāl-e-zabt-e-girya hai jo ham ko
bahut imsāl hai barsāt thoḌī
pilā.e le ke naqd-e-hosh saaqī
tahī-dastoñ kī hai auqāt thoḌī
vahī hai āsmāñ par ganj-e-anjum
milī thī jo tirī ḳhairāt thoḌī
tirā ai duḳht-e-raz vāsif hai vaa.iz
pa.e-hurmat hai itnī baat thoḌī
chalo manzil 'amīr' āñkheñ to kholo
nihāyat rah ga.ī hai raat thoḌī