kis ke chamke chāñd se ruḳhsār qiasar-bāġh meñ
chāñdnī hai sāya-e-dīvār qiasar-bāġh meñ
fil-haqīqat ye bhī kam gulzār-e-jannat se nahīñ
hūreñ phirtī haiñ sar-e-bāzār qiasar-bāġh meñ
paañv kā yaañ zikr kaisā saaf hai aisī zamīñ
dil phisalte haiñ dam-e-raftār qiasar-bāġh meñ
zer-e-shāḳh-e-gul agar sabza kabhī sone lagā
shor-e-bulbul ne kiyā bedār qiasar-bāġh meñ
itne patte bhī na hoñge gulshan-e-firdaus meñ
jis qadar phūloñ ke haiñ ambār qiasar-bāġh meñ
tishnigān-e-shauq haiñ shīrīñ-laboñ ke mehmāñ
baT rahā hai sharbat-e-dīdār qiasar-bāġh meñ
qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhāte haiñ bahār
gundh rahe haiñ motiyoñ ke haar qiasar-bāġh meñ
sāya-e-bāl-e-humā kyā DhūñDhtā hai ai 'amīr'
baiTh zer-e-sāya-e-dīvār qiasar-bāġh meñ