Ameer Minai

puchha na jaega jo watan se nikal gaya

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
pūchhā na jā.egā jo vatan se nikal gayā
be-kār hai jo daañt dahan se nikal gayā
Thahreñ kabhī kajoñ meñ na dam bhar bhī rāst-rau
aayā kamāñ meñ tiir to san se nikal gayā
ḳhil.at pahan ke aane kī thī ghar meñ aarzū
ye hausla bhī gor-o-kafan se nikal gayā
pahlū meñ mere dil ko na ai dard kar talāsh
muddat huī ġharīb vatan se nikal gayā
murġhān-e-bāġh tum ko mubārak ho sair-e-gul
kāñTā thā ek maiñ so chaman se nikal gayā
kyā rañg terī zulf kī bū ne uḌā diyā
kāfūr ho ke mushk ḳhutan se nikal gayā
pyāsā huuñ is qadar ki mirā dil jo gir paḌā
paanī ubal ke chāh-e-zaqan se nikal gayā
saarā jahān naam ke pīchhe tabāh hai
insān kiyā aqīq-e-yaman se nikal gayā
kāñToñ ne bhī na dāman-e-gulchīñ pakaḌ liyā
bulbul ko zab.h kar ke chaman se nikal gayā
kyā shauq thā jo yaad sag-e-yār ne kiyā
har ustuḳhāñ taḌap ke badan se nikal gayā
ai sabza rañg-e-ḳhat bhī banā ab to bosa de
begāna thā jo sabza chaman se nikal gayā
manzūr ishq ko jo huā auj-e-husn par
qumrī kā naala sarv-e-chaman se nikal gayā
madd-e-nazar rahī hameñ aisī razā-e-dost
kaaTī zabāñ jo shikva dahan se nikal gayā
tā.ūs ne dikhā.e jo apne badan ke daaġh
rotā huā sahāb chaman se nikal gayā
sahrā meñ jab huī mujhe ḳhush-chashmoñ kī talāsh
kosoñ maiñ āhuvān-e-ḳhutan se nikal gayā
ḳhanjar khiñchā jo myaan se chamkā miyāñ-e-saf
jauhar khule jo mard vatan se nikal gayā
meñ sher paḌh ke bazm se kiyā uTh gayā 'amīr'
bulbul chahak ke sehn-e-chaman se nikal gayā
Top Urdushayar.com