Ameer Minai

hans ke farmate hain wo dekh ke haalat meri

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
hañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merī
kyuuñ tum āsān samajhte the mohabbat merī
ba.ad marne ke bhī chhoḌī na rifāqat merī
merī turbat se lagī baiThī hai hasrat merī
maiñ ne āġhosh-e-tasavvur meñ bhī kheñchā to kahā
pis ga.ī pis ga.ī bedard nazākat merī
ā.īna sub.h-e-shab-e-vasl jo dekhā to kahā
dekh zālim ye thī shaam ko sūrat merī
yaar pahlū meñ hai tanhā.ī hai kah do nikle
aaj kyuuñ dil meñ chhupī baiThī hai hasrat merī
husn aur ishq ham-āġhosh nazar aa jaate
terī tasvīr meñ khiñch jaatī jo hairat merī
kis DhiTā.ī se vo dil chhīn ke kahte haiñ 'amīr'
vo mirā ghar hai rahe jis meñ mohabbat merī
Top Urdushayar.com