kuchh ḳhaar hī nahīñ mire dāman ke yaar haiñ
gardan meñ tauq bhī to laḌakpan ke yaar haiñ
siina ho kushtagān-e-mohabbat kā yā galā
donoñ ye tere ḳhanjar-e-āhan ke yaar haiñ
ḳhātir hamārī kartā hai dair-o-haram meñ kaun
ham to na shaiḳh ke na barahman ke yaar haiñ
kyā pūchhtā hai mujh se nishāñ sail-o-barq kā
donoñ qadīm se mire ḳhirman ke yaar haiñ
kyā garm haiñ ki kahte haiñ ḳhūbān-e-lucknow
london ko jaa.eñ vo jo firañgan ke yaar haiñ
vo dushmanī kareñ to kareñ iḳhtiyār hai
ham to adū ke dost haiñ dushman ke yaar haiñ
kuchh is chaman meñ sabza-e-begāna ham nahīñ
nargis ke dost lāla-o-sausan ke yaar haiñ
kāñTe haiñ jitne vādī-e-ġhurbat ke ai junūñ
sab āstīñ ke jeb ke dāman ke yaar haiñ
gum-gashtagī meñ raah batātā hai ham ko kaun
hai ḳhizr jin kā naam vo rahzan ke yaar haiñ
chalte haiñ shauq-e-barq-e-tajallī meñ kyā hai ḳhauf
chīte tamām vādī-e-aiman ke yaar haiñ
piirī mujhe chhuḌātī hai ahbāb se 'amīr'
dandāñ nahīñ ye mere laḌakpan ke yaar haiñ