Saqib Lakhnavi

aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ā.īna-e-ibrat hai mirā dil bhī jigar bhī
ik dard kī tasvīr idhar bhī hai udhar bhī
kyā tum se shikāyat mujhe qismat se gila hai
phirtā hai muqaddar to palaTtī hai nazar bhī
us ko bhī nikāl ai dil-e-pur-dāġh ke gulchīñ
kāñTā hai mire pahlū-e-ḳhālī meñ jigar bhī
bas nāla-e-dil bas mujhe ummīd nahīñ hai
muñh dekhne vāloñ meñ hai zālim ke asar bhī
milne se bhī un ke na-hove dil ko tasallī
vaslat kī masarrat bhī rahī sub.h kā Dar bhī
thāme haiñ kalejā vo mire dil ko dukhā ke
ik tiir kī tāsīr idhar bhī hai udhar bhī
hosh uḌte haiñ gum-gashtagī-e-ahl-e-adam se
is dasht-e-siyah-roz meñ anqā hai ḳhabar bhī
pis kar tire hāthoñ kī hinā jab se huā dil
ik ḳhuun kā chullū nazar aatā hai jigar bhī
TukḌe thā kalejā mirā ḳhud jaur-e-falak se
pahlū se ga.ī chhān ke dil un kī nazar bhī
tanhā.ī-e-furqat meñ koī paas na Thahrā
ruḳhsat huā āḳhir ko duāoñ se asar bhī
har ḳhauf se pahlū kā bachānā nahīñ achchhā
ai amn-talab hashr meñ kaam aa.egā Dar bhī
kyā zaḳhm-e-dil ummīd rakhe us se ki jis ne
dekhā na kabhī chāk-e-garebān-e-sahar bhī
rūdād hai kyā shahr-e-ḳhamoshāñ kī ilāhī
is baab meñ ḳhāmosh haiñ arbāb-e-ḳhabar bhī
tasvīr banā dījiye mujh ko kisī sūrat
le jā.iye pahlū se mirā dil bhī jigar bhī
sad hādsa-e-dahr kī TuuTī na ajal se
jaatī nahīñ un tak mire marne kī ḳhabar bhī
ye hukm-e-mohabbat hai ki dil us pe fidā hai
'sāqib' jise dekhā na kabhī ek nazar bhī
Top Urdushayar.com