har ik fankār ne jo kuchh bhī likkhā ḳhūb-tar likkhā
havā ne pāniyoñ par pāniyoñ ne ret par likkhā
daraḳhshāñ kitne lamhe kar gayā ik barg-e-jāñ-rafta
shajar se gir ke us ne dā.eroñ meñ kis qadar likkhā
subuk se rañg halke dā.ere ubhre hue shoshe
kisī ne kitnī fankārī se is ke jism par likkhā
maiñ huuñ zulmat-guzīñ ye khel hai taqdīr kā varna
siyāhī se bhī maiñ ne raushnī ke naam par likkhā
shafaq kā rañg kitne vālehāna-pan se bikhrā hai
zamīñ o āsmāñ ne mil ke unvān-e-sahar likkhā