zauq-e-amal ke sāmne duurī simaT ga.ī
darvāza ham ne kholā to dīvār haT ga.ī
beTe ko apne dekh ke ik baap ne kahā
tum ho ga.e javān magar umr ghaT ga.ī
pahle to ḳhud ko dekh ke hairat-zada huī
chiḌiyā phir ā.īne se lapak kar chimaT ga.ī
patvār bhī uThāne kī mohlat na mil sakī
aisī chalī havā.eñ ki kashtī ulaT ga.ī
nārāz ho gayā hai ḳhudā sab se ai 'shafaq'
duniyā tamām pyaar ke rishte se kaT ga.ī