Abrar Hamid

KHushi ke waqt bhi tujhko malal kaisa hai

Abrar Hamid

ḳhushī ke vaqt bhī tujh ko malāl kaisā hai

urūj-e-husn meñ naqs-e-kamāl kaisā hai

jo ek duuje ko chāheñ to kyuuñ na apnā leñ

ye dil se pūchh ke batlā ḳhayāl kaisā hai

nahīñ jo aane ke sab un raah takte haiñ

ye intizār shahr-e-vabāl kaisā hai

hai jis ke saath juḌe ik hazār ik ḳhadshe

vo hijr kaisā hai 'hāmid' visāl kaisā hai

Top Urdushayar.com