diye kī lau se na jal jaa.e tīrgī shab kī
ki din kī qadr kā baa.is hai har ghaḌī shab kī
jo dil-ḳharāsh haiñ kuchh lamhe din ke lamhoñ meñ
to dil-faroz bhī haiñ sā.ateñ ka.ī shab kī
kahāñ ke ḳhvāb mire aur kahāñ kī ta.abīreñ
mujhe to sone na de ab sahar-garī shab kī
jo vo nahīñ hai to kuchh bhī nahīñ hai phir 'hāmid'
abas haiñ chāñd ke bin raunaqeñ sabhī shab kī