Suleman Khumar

kal raat mere sath ajab hadisa hua

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
kal raat mere saath ajab hādisa huā
sūraj pighal ke merī hathelī pe aa girā
dekhe haiñ merī āñkhoñ ne manzar ajab ajab
ik peḌ mere shahr kā sāyoñ ko khā gayā
sahrā meñ aab aur samundar meñ ret hai
yā-rab maiñ aaj kaun sī duniyā meñ aa gayā
kaisā tamāsha dekhā thā ham ne ye raat bhar
taare chamak rahe the magar āsmāñ na thā
rahzan to ḳhud hī Dar ke guphāoñ meñ chhup ga.e
ab rāh-rau ko lūTtā phirtā hai rāstā
in sā.atoñ ko sub.h kaheñ bhī to kis tarah
sūraj ugā huā thā añdherā chhaTā na thā
bādal baras rahe haiñ musalsal magar 'ḳhumār'
dariyā tamām ḳhushk haiñ jharnoñ ko kyā huā
Top Urdushayar.com