pahāḌoñ kī bulandī par khaḌā huuñ
zamīñ vāloñ ko chhoTā lag rahā huuñ
har ik raste pe ḳhud ko DhūñDhtā huuñ
maiñ apne aap se bichhḌā huā huuñ
bhare shahroñ meñ dil Darne lagā thā
ab aa kar jañgaloñ meñ bas gayā huuñ
tū hī markaz hai merī zindagī kā
tire atrāf misl-e-dā.era huuñ
ujāle jab se katrāne lage haiñ
siyah-rātoñ kā sāthī ban gayā huuñ
marāhim shakl kab kā mar chukā hai
mujhe mat chheḌiye maiñ dūsrā huuñ