is ghanī shab kā saverā nahīñ aane vaalā
ab kahīñ se bhī ujālā nahīñ aane vaalā
jibra.īl ab nahīñ ā.eñge zamīñ par hargiz
phir se āyāt kā tohfa nahīñ aane vaalā
ho ga.e dafn shab-o-roz purāne kab ke
lauT kar phir vo zamāna nahīñ aane vaalā
peḌ to saare hī be-barg hue jaate haiñ
dhuup to aa.egī saaya nahīñ aane vaalā
ye bhī sach hai ki ajal ban ke khaḌe haiñ amrāz
ye bhī tai hai ki masīhā nahīñ aane vaalā
ham ko sahnā hai akele hī har ik dard kā bojh
ḳhair-ḳhvāhoñ kā dilāsa nahīñ aane vaalā
mere afkār ke sote nahīñ thamne vaale
merī sochoñ pe buḌhāpā nahīñ aane vaalā
na.e lafzoñ ko baratne kā salīqa bhī to ho
sirf alfāz se lahja nahīñ aane vaalā
jhuuT be-pāñv bhī dauḌegā bahut tez 'ḳhumār'
lab pe sachchā.ī kā charchā nahīñ aane vaalā