Suleman Khumar

dasht mein ghas ka manzar bhi mujhe chahiye hai

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
dasht meñ ghaas kā manzar bhī mujhe chāhiye hai
sar chhupāne ke liye ghar bhī mujhe chāhiye hai
thoḌī tadbīr kī sauġhāt hai matlūb mujhe
aur thoḌā sā muqaddar bhī mujhe chāhiye hai
tairne ke liye dariyā bhī hai kaafī lekin
shauq kahtā hai samundar bhī mujhe chāhiye hai
sirf dīvāroñ se hotī nahīñ ghar kī takmīl
chhat bhī darkār hai aur dar bhī mujhe chāhiye hai
gaahe fōtpath bichhā kar bhī maiñ so jā.ūñgā
gaahe ik maḳhmalīñ bistar bhī mujhe chāhiye hai
terī ma.asūm adaa.ī bhī sar āñkhoñ pe magar
tujh meñ ik shoḳh sitamgar bhī mujhe chāhiye hai
chāhiye hai kabhī relā bhī mujhe sardī kā
aur kabhī dhuup kā lashkar bhī mujhe chāhiye hai
isti.āre bhī zarūrī haiñ suḳhan meñ lekin
sher meñ san.at-e-paikar bhī mujhe chāhiye hai
guftugū kis se kareñ baunoñ kī bastī meñ 'ḳhumār'
baat karnī hai to ham-sar bhī mujhe chāhiye hai
Top Urdushayar.com