hayā bhī aañkh meñ vāraftagī bhī
badan meñ pyaas lab par ḳhāmushī bhī
darīche band hoñ achchhā hai lekin
zarūrī hai havā bhī raushnī bhī
maiñ vāqif huuñ tirī chup-goiyoñ se
samajh letā huuñ terī an-kahī bhī
pahan leñ lams kī āñcheñ kisī din
pighal jaa.e ye hadd-e-āḳhirī bhī
kiyā kartī hai sajde mujh ko Thokar
muqaddas hai mirī āvārgī bhī
tumheñ kho kar bhī tum ko pā chukā huuñ
mirā hāsil mirī lā-hāsilī bhī
yahī ik moḌ tak aanā bichhaḌnā
yahī qismat tumhārī bhī mirī bhī