muddat huī rāhat bharā manzar nahīñ utrā
sāvan kā mahīna mirī chhat par nahīñ utrā
raushan rahā ik shaḳhs kī yādoñ se hamesha
girdāb meñ zulmat ke mirā ghar nahīñ utrā
jis aañkh ne dekhā tumheñ detī hai gavāhī
tum jaisā zamīñ par koī paikar nahīñ utrā
sachchā.ī mire hoñToñ se utrī nahīñ hargiz
jab tak mire kāñdhoñ se mirā sar nahīñ utrā
qudrat kī ibārāt ko paḌhte rahe barsoñ
mafhūm magar zehn ke andar nahīñ utrā
nashsha hī kuchh aisā thā futūhāt kā us par
jazbāt ke tausan se sikandar nahīñ utrā
sāhil pe jo utrā thā safīnoñ ko jalā kar
sadiyoñ se phir aisā koī lashkar nahīñ utrā
utrā nahīñ nafrat ke samundar meñ kabhī maiñ
mujh meñ kabhī nafrat kā samundar nahīñ utrā
koshish to bahut kī thī 'ḳhumār' ham ne bhī lekin
shīshe meñ vo ik shoḳh sitamgar nahīñ utrā