shanāḳht miT ga.ī chehre pe gard itnī thī
hamārī zindagī sahrā-navard itnī thī
tamām-umr use sīñchte rahe lekin
gulāb de na sakī shāḳh zard itnī thī
gire na ashk kabhī hādsoñ ke dāman par
hamārī aañkh shanāsā-e-dard itnī thī
tirī pukār kā chehra dikhā.ī de na sakā
mire qarīb sadāoñ kī gard itnī thī
talāsh-e-zīst meñ dil jaisī chiiz chhūT ga.ī
hikāyat-e-dil-o-jāñ fard fard itnī thī
jhulastī dhuup kā us par gumāñ guzartā thā
bichhī thī raah meñ jo chhāñv zard itnī thī
pighal sakī na kabhī barf akele-pan kī 'ḳhumār'
vo sho.ala-rū bhī tabī.at kī sard itnī thī