shā.erī maz.har-e-ahvāl-e-darūñ hai yuuñ hai
ek ik sher batā detā hai yuuñ hai yuuñ hai
ik tirī yaad hī detī hai mire dil ko qarār
ik tirā naam hī ab vaj.h-e-sukūñ hai yuuñ hai
ḳhushk sahrā bhī nazar aatā hai gulzār-e-iram
hamrahī kā ye tirī saarā fusūñ hai yuuñ hai
ishq har ik se ġhulāmī kī adā māñgtā hai
us ke darbār meñ jo sar hai nigūñ hai yuuñ hai
ḳhaak chhāneñge chalo ham bhī bayābānoñ kī
jab yahī sheva-e-arbāb-e-junūñ hai yuuñ hai
hāl-e-dil sun ke mirā chup na raho kuchh to kaho
ḳhāmushī ne.amat-e-goyā.ī kā ḳhuuñ hai yuuñ hai
jab bhī mahfil meñ ġhazal apnī sunātā hai 'ḳhumār'
tabsire hote haiñ har sher pe yuuñ hai yuuñ hai