roz o shab is soch meñ Duubā rahtā huuñ
ġham ko pā kar bhī maiñ kitnā tanhā huuñ
alsā.e maazī ke sūkhe peḌ-tale
chhāñv kī ummīd lagā.e baiThā huuñ
abr-e-gurezāñ mujh par bhī bas ek nazar
raah meñ terī sadiyoñ pyāsā sahrā huuñ
mujh se ruuTh ke duur na jā pāoge tum
maiñ chāroñ jānib huuñ ufuq tak phailā huuñ
tanhā.ī meñ jab dam ghuTne lagtā hai
terī tahrīroñ kā amrit piitā huuñ
kyuuñ tū mujh ko galiyoñ galiyoñ DhūñDe hai
maiñ terā saaya huuñ tujhī meñ rahtā huuñ