dasht meñ ye jāñ-fazāñ manzar kahāñ se aa ga.e
is bayābāñ meñ chamakte ghar kahāñ se aa ga.e
qarya-e-jāñ meñ jhulastī dhuup thī chāroñ taraf
saayā le kar abr ke lashkar kahāñ se aa ga.e
vādī-e-taḳh.īl to be-rañg thī ik umar se
gum-shuda yādoñ ke ye paikar kahāñ se aa ga.e
Dhah chukī thiiñ jab tamannā.eñ sabhī khañDarāt meñ
shahr-e-dil meñ phir ye bām-o-dar kahāñ se aa ga.e
kis ne baḳhshī hai inheñ phir se uḌānoñ kī sakat
hausloñ ko phir se bāl-o-par kahāñ se aa ga.e
kal talak chhāyā huā thā mātam-e-be-chehragī
aaj nezoñ par achānak sar kahāñ se aa ga.e
dushmanoñ meñ the to ham par phuul kī bārish huī
dostoñ meñ haiñ to ye patthar kahāñ se aa ga.e
khā gayā thā jab samundar sīpiyāñ saarī 'ḳhumār'
phir tumhāre haath ye gauhar kahāñ se aa ga.e