Suleman Khumar

kuchh nahin hai to ye andesha ye Dar kaisa hai

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
kuchh nahīñ hai to ye andesha ye Dar kaisā hai
ik añdherā sā ba-hañgām-e-sahar kaisā hai
kyuuñ har ik raah meñ vahshat sī barastī hai yahāñ
ek ik moḌ pe ye ḳhauf-o-ḳhatar kaisā hai
phir ye sochoñ meñ haiñ māyūsī kī lahreñ kaisī
phir ye har dil meñ udāsī kā guzar kaisā hai
us se ham chhāñv kī ummīd bhalā kyā rakkheñ
dhuup detā hai hamesha ye shajar kaisā hai
raushnī hai na havāoñ kā guzar hai is meñ
mere hisse meñ jo aayā hai ye ghar kaisā hai
ek muddat huī āñkhoñ se bahe the aañsū
dāman-e-shauq magar aaj bhī tar kaisā hai
umr bhar chal ke bhī paa.ī nahīñ manzil ham ne
kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye safar kaisā hai
ham ne dekhe the ka.ī ḳhvāb suhāne lekin
tajraba ab huā ḳhvāboñ kā nagar kaisā hai
kaise ug aayā hai ābādī meñ vīrāna 'ḳhumār'
shahr ke biich ye sunsān khañDar kaisā hai
Top Urdushayar.com