Suleman Khumar

na Dhalti sham na ThanDi sahar mein rakkha hai

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
na Dhaltī shaam na ThanDī sahar meñ rakkhā hai
safar kā lutf kaḌī dopahar meñ rakkhā hai
judā.iyoñ ke manāzir haiñ ab bhī yādoñ meñ
bichhaḌte vaqt kā lamha nazar meñ rakkhā hai
bachā bachā ke ghanī chhāñv ko tirī ḳhātir
tamām umr badan ke shajar meñ rakkhā hai
tumhāre naam ko likkhā hai paikar-e-gul par
tumhārī yaad ko ḳhushbū ke ghar meñ rakkhā hai
kabhī sukūn se jiine nahīñ diyā us ne
vo ek ishq kā saudā jo sar meñ rakkhā hai
phir ek baar luTānā hai kārvāñ dil kā
qadam ko phir se tirī rahguzar meñ rakkhā hai
'ḳhumār' kis ne kiyā phir se dar-ba-dar mujh ko
ye kis ne mujh ko musalsal safar meñ rakkhā hai
Top Urdushayar.com