Suleman Khumar

bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
bīmār sā hai jism-e-sahar kaañp rahā hai
ye kis ne ujāloñ kā lahū chuus liyā hai
ai dost tirī yaad kā mahtāb-e-daraḳhshāñ
ab yaas kī ghanghor ghaTāoñ meñ chhupā hai
is daur meñ sunsān se haiñ bām-o-dar-e-zīst
naġhmoñ ne ḳhamoshī kā kafan oḌh liyā hai
sannāToñ ke kaf par mirī tasvīr banī hai
tanhā.ī ke āñchal pe mirā naam likhā hai
maiñ shahr kī jaltī huī saḌkoñ pe khaḌā huuñ
vo dasht meñ ḳhāroñ meñ mujhe DhūñD rahā hai
Top Urdushayar.com