Suleman Khumar

is ek soch mein gum hain KHayal jitne hain

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
is ek soch meñ gum haiñ ḳhayāl jitne haiñ
javāb utne nahīñ haiñ savāl jitne haiñ
jo sāzishoñ ko kuchalne kī baat kartā hai
bune hue haiñ usī ke ye jaal jitne haiñ
usī kī den haiñ ye sab usī ke tohfe haiñ
hamārī fikr ke shīshe meñ baal jitne haiñ
hamīñ ne chubhte masā.il kī mezbānī kī
hamīñ ne paal rakhe haiñ vabāl jitne haiñ
tumhārī bazm hai ābād ḳhush-mizājoñ se
hamāre saath haiñ āshufta-hāl jitne haiñ
hamāre ahd meñ lafzoñ ne kho diyā mafhūm
uruuj ban ke khaḌe haiñ zavāl jitne haiñ
yaqīñ nahīñ hai tahaffuz kā ab kisī ko 'ḳhumār'
har ek zehn meñ haiñ ehtimāl jitne haiñ
Top Urdushayar.com