guzarte lamhoñ ke dil meñ kyā hai hameñ pata hai
havā ke āñchal pe kyā likhā hai hameñ pata hai
sulag rahī hai kahāñ pe chiñgārī nafratoñ kī
dhuāñ kahāñ se ye uTh rahā hai hameñ pata hai
safīna kis tarah paar utāreñ ye ham se pūchho
samundaroñ kā mizāj kyā hai hameñ pata hai
kahāñ kahāñ hādse chhipe haiñ ḳhabar hai ham ko
kahāñ se manzil kā rāsta hai hameñ pata hai
jo umar bhar zulm se laḌā sindbād ban kar
use zamāne ne kyā diyā hai hameñ pata hai
jo de rahā hai duhā.ī ma.asūmiyat kī apnī
vahī to sāzish kā sarġhana hai hameñ pata hai
ḳhizāñ ne gulshan se jaate jaate 'ḳhumār'-sāhab
sabā ke kānoñ meñ kyā kahā hai hameñ pata hai