Suleman Khumar

koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
koī diyā kisī chaukhaT pe ab na jalne kā
siyāh raat kā manzar nahīñ badalne kā
vo rut badal ga.ī sab se qarīb rahne kī
zamāna ḳhatm huā sab ke saath chalne kā
lo apne jurm kā iqrār kar rahe haiñ ham
hunar na aayā hameñ baat ko badalne kā
kise hai aarzū tanhā.iyoñ meñ jalne kī
kise hai shauq kisī ke liye pighalne kā
ye chāhatoñ kā bhañvar hai sivā.e maut 'ḳhumār'
nahīñ hai rāsta bāhar koī nikalne kā
Top Urdushayar.com