rah-e-vafā se maiñ ik gaam bhī haTā to nahīñ
lahūluhān huā huuñ magar Darā to nahīñ
nazar meñ shā.iba-e-ḳhauf kis liye aa.e
ye sail-e-jabr hujūm-e-barhana-pā to nahīñ
khiñchāv hotā hai mahsūs ḳhuuñ ke qatroñ meñ
ye rūh-e-asr kahīñ rūh-e-karbalā to nahīñ
ajab tanāv hai māhaul meñ kaheñ kis se
kahīñ pe aaj koī hādsa huā to nahīñ
laboñ pe harf-e-vafā hai to phir nigāhoñ meñ
ye ḳhauf kyuuñ ho kahīñ koī dekhtā to nahīñ