maqtal ke is sukūt pe hairat hai kyā kaheñ
aisī fazā to ho ki jise karbalā kaheñ
ye kārvān-e-umr ye sahrā ye ḳhāmushī
aatī hai sharm ḳhud pe bas ab aur kyā kaheñ
logoñ ne ḳhāmushī kī zabāñ siikh lī to phir
kyā kar sakeñge qātil-e-nutq-o-sadā kaheñ
vo zarb thī ki nutq kī zanjīr khul ga.ī
kyā aur mehrbānī-e-dast-e-jafā kaheñ