shor-e-dariyā-e-vafā-e-ishrat ishrat-e-sāhil ke qarīb
ruk ga.e apne qadam aa.e jo manzil ke qarīb
phir ye vāraftagi-e-shauq samajh meñ aa.e
ik zarā jā ke to dekhe koī bismil ke qarīb
un se bichhḌe hue muddat huī lekin ab bhī
ik chubhan hotī hai mahsūs mujhe dil ke qarīb
aks-e-bāzār yahāñ bhī na ho is ḳhauf se ham
lauT lauT aa.e haiñ jā kar tirī mahfil ke qarīb