zer-e-lab ham ne tishnagī kar lī
ik samundar se dostī kar lī
raah takte rahe havāoñ kī
phir charāġhoñ ne ḳhud-kushī kar lī
vaqt kī chaal dekhne ke liye
ham ne raftār meñ kamī kar lī
kaam koī na ho sakā ham se
ham ne har fikr peshgī kar lī
ham ne har ġham chhupā liyā us se
zabt us ne bhī har ḳhushī kar lī
rāt-bhar koste haiñ duniyā ko
sub.h hote hī dostī kar lī