Nishant Shrivastava Nayab

yun to mera safar tha sahra tak

Nishant Shrivastava Nayab

yuuñ to merā safar thā sahrā tak
pyaas le aa.ī mujh ko dariyā tak
aa.ina sā use banāne meñ
bhuul baiThā maiñ apnā chehra tak
ānā-jānā hai ab bhī sāñsoñ kā
kar liyā zindagī se jhagḌā tak
aap manzil kī chhoḌiye sāhab
maiñ ne Thukrā diyā hai rasta tak
nazr maiñ ne kiyā hai manzar ko
āñkhoñ ke baad ab kaleja tak
Top Urdushayar.com