patthar ko pūjte the ki patthar pighal paḌā
pal bhar meñ phir chaTTān se chashma ubal paḌā
jal thal kā ḳhvāb thā ki kināre Dubo gayā
tanhā kañval bhī jhiil se bāhar nikal paḌā
ā.īne ke visāl se raushan huā charāġh
par lau se is charāġh kī ā.īna jal paḌā
guzrā gumāñ se ḳhat-e-farāmoshī-e-yaqīñ
aur aa.ine meñ silsila-e-aks chal paḌā
mat pūchhiye ki kyā thī sadā vo faqīr kī
kahiye sukūt-e-shahr meñ kaisā ḳhalal paḌā
baaqī rahūñgā yā nahīñ sochā nahīñ 'sa.īd'
apne madār se yūñhī ik din nikal paḌā