ik barg-e-ḳhushk se gul-e-tāza tak aa ga.e
ham shahr-e-dil se jism ke sahrā tak aa ga.e
us shaam Dūbne kī tamannā nahīñ rahī
jis shaam tere husn ke dariyā tak aa ga.e
kuchh log ibtidā-e-rifāqat se qabl hī
ā.inda ke har ek guzishta tak aa ga.e
ye kyā ki tum se rāz-e-mohabbat nahīñ chhupā
ye kyā ki tum bhī shauq-e-tamāshā tak aa ga.e
bezāri-e-kamāl se itnā huā ki ham
ārām se zavāl-e-tamannā tak aa ga.e