Saeed Ahmad

jab samaat teri aawaz talak jati hai

Saeed Ahmad

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

jab samā.at tirī āvāz talak jaatī hai
jaane kyuuñ paañv kī zanjīr chhanak jaatī hai
phir usī ġhaar ke asrār mujhe khīñchte haiñ
jis taraf shaam kī sunsān saḌak jaatī hai
jaane kis qarya-e-imkāñ se vo lafz aatā hai
jis kī ḳhushbū se har ik satr mahak jaatī hai
mū-qalam ḳhuuñ meñ Dubotā hai musavvir shāyad
aañkh kī putlī se tasvīr chipak jaatī hai
dāstānoñ ke zamānoñ kī ḳhabar miltī hai
ā.īne meñ vo parī jab bhī jhalak jaatī hai
ḳhushk pattoñ meñ kisī yaad kā sho.ala hai 'sa.īd'
maiñ bujhātā huuñ magar aag bhaḌak jaatī hai
Top Urdushayar.com