hairat-e-paiham hue ḳhvāb se mehmāñ tire
raat charāġhoñ meñ kyuuñ bujh ga.e imkāñ tire
ek qadam laġhzisheñ raah meñ aa kar milīñ
ruuTh ga.e tujh se phir dasht-o-bayābāñ tire
ishq ke andhe ḳhudā husn kā rasta dikhā
dar pe tire aa ga.e be-sar-o-sāmāñ tire
nashsha thā kaisā ajab ḳhvāb kahānī meñ jab
aañkh thī raushan mirī naqsh the uryāñ tire
ik abadī hijr kī fasl harī ho ga.ī
bhuul ga.e vaqt ko va.ada-o-paimāñ tire
shauq-e-bahār-e-ḳhayāl chuum ke chal Daal Daal
phuul pareshāñ tire baaġh haiñ vīrāñ tire