vahī ḳharāba-e-imkāñ vahī sifāl-e-qadīm
humak rahā hai kahīñ dil meñ ik ḳhayāl-e-qadīm
khaḌā huuñ jaise abhī tak azal ke ziine par
nazar meñ hai vahī nazzāra-e-jamāl-e-qadīm
firāq-rāt meñ zinda rahe ki zinda thī
hamārī ruuh meñ sarshāri-e-visāl-e-qadīm
mirā vajūd havāla tirā huā āḳhir
to khā gayā nā mujhe tū mire savāl-e-qadīm
ye habs-e-vaqt ye lā-intihā ghuTan kī ruteñ
baras ke khul bhī kabhī abr-e-ehtimāl-e-qadīm
'sa.īd' kahne ko kyā kuchh badal gayā lekin
vahī hai tū vahī zindān-e-māh-o-sāl-e-qadīm