Allama Iqbal

mujhe aah-o-fughan-e-nim-shab ka phir payam aaya

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
mujhe āh-o-fuġhān-e-nīm-shab kā phir payām aayā
tham ai rah-rau ki shāyad phir koī mushkil maqām aayā
zarā taqdīr kī gahrā.iyoñ meñ Duub jā tū bhī
ki is jañgāh se maiñ ban ke teġh-e-be-niyām aayā
ye misrā likh diyā kis shoḳh ne mehrāb-e-masjid par
ye nādāñ gir ga.e sajdoñ meñ jab vaqt-e-qayām aayā
chal ai merī ġharībī kā tamāshā dekhne vaale
vo mahfil uTh ga.ī jis dam to mujh tak daur-e-jām aayā
diyā 'iqbāl' ne hindī musalmānoñ ko soz apnā
ye ik mard-e-tan-āsāñ thā tan-āsānoñ ke kaam aayā
usī 'iqbāl' kī maiñ justujū kartā rahā barsoñ
baḌī muddat ke baad āḳhir vo shāhīñ zer-e-dām aayā
Top Urdushayar.com