aflāk se aatā hai nāloñ kā javāb āḳhir
karte haiñ ḳhitāb āḳhir uThte haiñ hijāb āḳhir
ahvāl-e-mohabbat meñ kuchh farq nahīñ aisā
soz o tab-o-tāb avval soz o tab-o-tāb āḳhir
maiñ tujh ko batātā huuñ taqdīr-e-umam kyā hai
shamshīr-o-sināñ avval tā.ūs-o-raubāb āḳhir
mai-ḳhāna-e-europe ke dastūr nirāle haiñ
laate haiñ surūr avval dete haiñ sharāb āḳhir
kyā dabdaba-e-nādir kyā shaukat-e-taimūrī
ho jaate haiñ sab daftar ġharq-e-mai-e-nāb āḳhir
ḳhalvat kī ghaḌī guzrī jalvat kī ghaḌī aa.ī
chhuTne ko hai bijlī se āġhosh-e-sahāb āḳhir
thā zabt bahut mushkil is sail-e-ma.ānī kā
kah Daale qalandar ne asrār-e-kitāb āḳhir