Allama Iqbal

ne mohra baqi ne mohra-bazi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

ne mohra baaqī ne mohra-bāzī

jiitā hai 'rūmī' haarā hai 'rāzī'

raushan hai jām-e-jamshed ab tak

shāhī nahīñ hai ba-shīsha-bāzī

dil hai musalmāñ merā na terā

bhī namāzī maiñ bhī namāzī

maiñ jāntā huuñ anjām us

jis mārke meñ mullā hoñ ġhāzī

turkī bhī shīrīñ taazī bhī shīrīñ

harf-e-mohabbat turkī na taazī

aazar pesha ḳhārā-tarāshī

kār-e-ḳhalīlāñ ḳhārā-gudāzī

zindagī hai pā.endagī hai

baaqī hai jo kuchh sab ḳhāk-bāzī

Top Urdushayar.com