Allama Iqbal

ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
ye payām de ga.ī hai mujhe bād-e-sub.h-gāhī
ki ḳhudī ke ārifoñ kā hai maqām pādshāhī
tirī zindagī isī se tirī aabrū isī se
jo rahī ḳhudī to shāhī na rahī to rū-siyāhī
na diyā nishān-e-manzil mujhe ai hakīm tū ne
mujhe kyā gila ho tujh se tū na rah-nashīñ na raahī
mire halqa-e-suḳhan meñ abhī zer-e-tarbiyat haiñ
vo gadā ki jānte haiñ rah-o-rasm-e-kaj-kulāhī
ye muāmle haiñ nāzuk jo tirī razā ho tū kar
ki mujhe to ḳhush na aayā ye tarīq-e-ḳhānqāhī
tū humā kā hai shikārī abhī ibtidā hai terī
nahīñ maslahat se ḳhālī ye jahān-e-murġh-o-māhī
tū arab ho yā ajam ho tirā lā ilaah illā
luġhat-e-ġharīb jab tak tirā dil na de gavāhī
Top Urdushayar.com