Allama Iqbal

DhunD raha hai farang aish-e-jahan ka dawam

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
DhūñD rahā hai farañg aish-e-jahāñ kā davām
vā-e-tamannā-e-ḳhām vā-e-tamannā-e-ḳhām
pīr-e-haram ne kahā sun ke merī rūedād
puḳhta hai terī fuġhāñ ab na ise dil meñ thaam
thā arenī go kalīm maiñ arenī go nahīñ
us ko taqāzā ravā mujh pe taqāzā harām
garche hai ifshā-e-rāz ahl-e-nazar kī fuġhāñ
ho nahīñ saktā kabhī sheva-e-rindāna aam
halqa-e-sūfī meñ zikr be-nam o be-soz-o-sāz
maiñ bhī rahā tishna-kām tū bhī rahā tishna-kām
ishq tirī intihā ishq mirī intihā
tū bhī abhī nā-tamām maiñ bhī abhī nā-tamām
aah ki khoyā gayā tujh se faqīrī kā raaz
varna hai māl-e-faqīr saltanat-e-rūm-o-shām
Top Urdushayar.com